Mit gaye hain sab zakham,
Bas nishaan baaki reh gaya,
Saza puri ho gayi,
Karna gunaah baaki reh gaya.
Ret pe naam kabhi likhte nahin, kyonki ret pe likhe naam kabhi tikte nahin,
Aap kehte ho tum patthar dil ho, par patthar pe likhe naam kabhi mitte nahin.
Zindagi hai to khwab hain,
Khwab hain to manzilein hain,
Manzilein hain to raste hain,
Raste hain to Mushkilein hain,
Mushkilein hain to MAIN HOON NAA.
Kitne jaldi yeh mulakat guzar jati hai,
Pyaas bujhti nahin ki barsaat guzar jati hai.
Apni yadon se keho ki yun na sataya kare,
Neend aati nahin aur raat guzar jati hai.
Kal mila waqt to zulfein teri suljha doonga,
Aaaj uljha hoon zara waqt ko sulajhane mein,
Yun to sulajh jatee hain uljhi zulfein,
Umar kat jati hai waqt ko sulajhane mein.
Rukta bhi nahi, theek se chalta bhi nahi,
Yeh dil hai kay tere baad sambhalta hi nahi,
Is umar key sehra say teri yaad ka baadal,
Talta bhi nahi aur barasta bhi nahi,
Hotho se jo choo liya,
Ehsaas Ab tak hai,
Aankhe Nam hai, Aur sanson mein Aag ab tak hain,
Aur kyon na ho... Khayi Bhi to 'HARI Mirch' hai.
Suraj paas ho na ho, Roshni aaspaas rehti hai,
Chand paas ho na ho, Chandni aaspaas rehti hai,
Waise hi aap paas ho na ho,
Apki Yaadein hamesha saath rehti hai!
Abhi to Baaj ki asali udaan baaki hai,
Abhi to aapka imtihan baaki hai,
Abhi tak to aapne zamin dekhi hai,
Abhi to pura aasmaan baaki hai.
Kaash is dil ki awaz mein itna asar ho jaye,
Hum apko yaad karein, aur aapko khabar ho jaye,
Khuda se maangte hain ki aap jise bhi chaho,
Woh zindagi ki raah mein apka humsafar ho jaye.