Pyaar kar betha
Kya kar betha
Dard le betha
Dard de betha
Dard nahi hota aapne dard se
Dard jab hota hai use
Tab sochta hoon ki yeh kya kar detha.
Mohabbat ki daastaan sunaane aaye hai,
tabaah karne ke baad wo pyar jataane aaye hai,
aansu poch liye the humne kab ke,
magar wo fir se humein rulaane aaye hain.
Wo aaye meri Qabar pe mery Raqeeb k sath GALIB,
kon kahta hai k musalmanon ko jalaya nahi jata..!!
Zindagi ki Haseen Rahon Per
Apnaa Daman Sada Bachaya Hai
Her Qadam Phoonk Phoonk Ker Rakha
Her Qadam Per Faraib Khayaa Hai
Mitti meri kabar say chura raha hai koi,
Markar bhi bahut yaad aa raha hai koi,
Eh khuda ek pal ki zindagi aur de de mujay,
Udaas mery kabar say jaa raha hai koi.
Kahan koi aisa mila jis par duniya luta daity,
Har ek ne dhoka diya kis-kis ko bhula daite,
Apne dil ka dard dil main hi dabaker rakha,
Karte bayan to sari mehfil ko rula daity.
Dur rehkar kareeb rehne ki aadat hai,
Yaad bankar aankho se behne ki aadat hai,
Kareeb na hote hue bhi kareeb paoge,
Mujhe ehsaas bankar rehne ki aadat hai.
Unki galiyon se jab guzray to manzar ajeeb tha,
Dard tha magar woh dil kay kareeb thaa,
Jisay hum dhondty thay apnay hathon ki lakiron main
Wo kisi doosray ki kismat, kisi aur ka naseeb tha.
Yeh na socha tha kabhi humne,
Kisi ko iss kadar chahenge,
Woh hans kar jakham de denge,
Aur hum jindgi gava denge.
Kya ghum hai kya khushi maloom nhi
Woh apna hai k ajnabi maloom nhi
Jis k bina ek pal nhi guzarta
Kaisy guzray gi zindagi maloom nhi…