Mohabbat ki shamma jalake to dekho,
Zara dil ki duniya saja kar to dekho,
Tumhe ho na jaaye mohabbat to kehna,
Zara humse nazaren milake to dekho.
Tum khafa hogaye to koi khushi na rahegi,
Tere bina chirago mein roshni na rahegi,
Kya kahe kya guzregi dil par,
Zinda to rahenge par zindagi na rahegi.
Aakhen kholu to chehra tumhara ho,
Band karu to sapna tumhara ho,
Maar bhi jau to koi gam nahi,
Agar kafan ke badle achal tumhara ho.
Apne dard-E-dil ka hamdard hame hi paaogey,
In tanhaiyon mein saath hame hi paaogey,
Door hain tum say to kya huwa,
In dooriyon mein sabse kareeb hame hi paaogey.
Kabhi hasata hai pyaar,
Kabhi rulata hai pyaar,
Har pal ki yaad dilata hai yeh pyaar,
Chaho ya na chaho,
Par aapke hone ka ehsaas dilata hai yeh pyaar.
Haste rahen aap hazaron ke beech mein,
Jaise haste hein phool baharon ke beech mein,
Roshan ho aap duniya mein iss tarah,
Jaise hota hai chand sitaron ke beech mein.
Aashiq ne pucha khuda se,
Tune duniya ko pyaar ka dushman kyu bana diya?
Khuda bola aashiqo ne kaunsa mere saath accha kiya,
Unhone ne bhi toh yaar ko khuda bana diya…
Dil ki nazuk dhadkano ko
Mere sanam tumne dhadkana sikha diya
Jab se mila hai tera pyaar dil ko
Gham ne bhi muskurana sikha diya.
Hame bewafa mat samajhna ae mere yaar
Yeh dil karta hai aaj bhi tumse pyar
Mana ki humse ho na sake izhaar
Darte the yis liye karte rahe inkaar
Ab dil tadap tadap ke ho gaye bekaraar
Zindagai bhar yuhin karte rahenge intezaar
Har cheez ka rang badal gaya hai aaj barish k baad
Aankhon ne naya khawb dekha hai aaj barish k baad
Janay kya jadu hai is bheegi shaam main
Woh shakhas bohat yaad aaya hai aaj barish k baad