Tera bhot memory aa rela tha,
Itna tem ho gela hai,
tere ko dekha bhi nai,
Akha life mei tere jesa 1 item mila apanko,
miss to karega
Dil mei basa hai pyaar tera,
Aankho mei basi hai tasavir teri,
Jab bhi aati hai yaad teri,
Ham dekhte hai: TOM AND JERRY.
Gul ne gulshan se gulfam bheja hai,
Sitaron ne aasman se salam bheja hai,
Lag jayen aap ko humari khushiyan,
Hum ne dil se yeh pegham bheja hai
Hum woh nahi jo tum ko ghum main chhod de,
hum woh nahi joh tumse nata tod de,
hum woh hain ki agar teri saanse
ruk jae to tuj se apni sanse joor de.
SMS karne main kitna maza aata hai,
lekin dil ghabrata hai,
kyunke balance jata hai,
lekin asal maza tab aata hai,
jab kanjoos logon se SMS ka jawab aata hai…
Hitler raha nahi,
Saddam pakda gaya,
Bin Laden ka thikana nahi,
Veerapppan mara gaya,
Aap bhi dikhte nahin,
Lagta hai dharti par satyug aane wala hai
Hatho mein hoti hai lakire hazaar,
Kisi mein gum to kisi mein khusiyo ki bahar,
Na jaane wo kaun si lakeer hai ,
Jismein khuda ne likh diya,
Aap jaise dost ka sath.
Phulon se khoobsurat koi nahi.
Sagar se gahara koi nahi.
Aab aapki kya taarif karu.
Dost me aap jaisa
Nalayak koi nahi!
Chala ja message tu banke gulab,
hogi sachi dosti to ayega jawab
agar na aae jawab to mat hona udas
samaj lena k hamare liye waqt hi nahi hai unke pass.
Akaash ke taaron mein khoya hai jahan saara,
lagta hai pyara ek ek taara.
In taaron mein sabse pyara hai ek sitara,
jo is waqt padh raha hai SMS hamara.