Chand ne chadani se kiya,
Suraj ne kiran se kiya,
Hum bhi tumse utna hi pyaar karte hai,
Jitna Heer ne Rajhee se kiya.
Tum pe marta hai b’coz tum se aacha kaun hai.
I think kuch to hai, baas itna sa khawab hai.
Kehta hai dil koi mil gaya, sirf tum…
Kabhi yeh maat kehna ki hum apke hai kaun…
B’coz hum tumhare hai sanam…
I know hum apke dil main rehta hain, aur hamare dil apke paas hai.
Kehta hai dil baar baar, pyar kiya to darna kiya,
From my side hum dil de chuke sanaam, please kaho naa pyar hai.
Get ready for dilwale dulhaniya le jayengaa.
Raat hogi to chand duhai dega,
Khabo mein aapko woh chehera dikhai dega,
Ye mohabbat hai zara sochke karna,
Ek aasu bhi gira to sunai dega.
Har kadam pe aapka ehsaas chahiye,
Mujhe aapka saath apne paas chahiye,
Khuda bhi ro pade hamari judai se,
Aisa ek rista khaas chahiye.
Doorian bahut hai par itna smajh lo,
Pass rahkar hi koi rishta khas nahi hota,
Tum dil ke pas itne ho ki,
Dooriyon ka ehsaas nahi hota.
Khuda se maine ek dua maangi,
Dua main apni maut maangi,
Phir khuda ne kaha maut to tujhe mein de du,
Par usko kya kahu jisne teri lambi umar maangi.
Bekhudi ki zindagi hum jiya nahi karte,
Yun kisika ka jaam hum piya nahi karte.
Unse kehdo mohabbat ka izhaar aakar khud karein,
Yun kisika peecha hum nahin kartein.
Kajal banke teri aankho mein samane ki tamanna hai,
Dawa banke tere dard mitane ki tamanna hai,
Yun to haasil hai zamane ki har cheez mujhe,
Sirf ek baar tujhe apna banane ki tamanna hai.
Sari umar aankho mein ek sapna yaad raha,
Sadiyaan beet gayi wo lamha yaad raha,
Jaane kya baat hai aap mein,
Sari mehfil bhul gaye bas wo pal yaad reh gaya.
Dil se dil kabhi juda nahi hote,
Yuhi kisi par bhi fida nahi hote,
Dosti se bada to pyaar ka rista hota hai,
Kyonki sachha pyaar karne wale kabhi bewafa nahi hote.