Karib se tujhe dekha to apna paya,
Jab tujhe dosti mein azmaya to apna paya,
Tujhe kya naam doon,samajh mein nahin aata,
Meri zindagi ya apna saya.
Tumse hai mera rishta Gulab sa,
Rehkar tumse door lagta hai azab sa,
Gulab ki toh seerat mein hai mehak dena,
Par hamari niyat mein hai tumhe pyaar dena.
Unke saath rehte hai par izhar kar nahi sakte,
Unse pyaar karte hai par keh nahi sakte,
Yeh kaisa pyaar hai mera,
Unhe chahkar bhi pa nahi sakte.
Chand taroon ka noor aap,
Per har koi aap ki chahat ko tarsein,
Aap ki zindagi mein itni khushian ke,
Aap ek gham pane ko tarsein.
Na to yaado ko yaad rakhte hai
Na hi sapno ko saath rakhte hai
Hum to buss unko yaad rakte hai
Jo hamein dil ke pass rakhte hai.
Hame hasne hasane ki adat hai,
Nazron se nazren milane ki aadat hai,
Par hamari nazar to unse hai ja mili,
Jinhe nazren jhuka ke sharmane ki adat hai
Mohbbat ek ehsaason ki pawan si kahani hai,
Kabhi kabira deewana tha, kabhi meera deewani hai,
Yahan sab log kehte hai meri aankhon mein aasoon hai,
Jo tu samjhe toh moti hai, jo na samjhe toh paani hai.
Tum ruth jao mujhse
Aisa kabhi na karna
Main ek nazar ko tarsoon
Aisa kabhi na kerna
Main pooch pooch haroon
So so sawal kar ke
Tum kuch jawab na do
Aisa kabhi na kerna
Mujhse hi milke hansna
Mujhse hi milke rona
Mujhse bicher ke jee lo
Aisa kabhi na kerna
Tum chand ban ke rehna
Main dekhta rahoon ga
Kisi roz tum na niklo
Aisa kabhi na kerna
Tum chalay jao jab bhi
Tu dekhoon tumhara rasta
Tum loat ke na aao
Aisa kabhi na karna
Hum tumhe pyaar karte hai itna,
Tumko kya pata kitna,
Baarish agar hoti hai bahar,
Such kaheta hoon, dekhlo paani ki boond hai jitna.
Unki gali ke chakkar katate katate
Kutte bhi humare yaar ho gaye
Vo toh hamare na ho sake
Hum kutton ke sardar ho gaye.